silsila na jaane ye
kaisa shuru hua hai;
saansein kyun itni mehekne
lagi hain
sitaron ki mehfil
saji hui hai;
deewangiyaan ye badhne
lagi hain;
bhulana bhi chahun
khud ko khud se agar
bikharti sham ki
parchhaiyaan aaina dikhane lagi hain
kagaz pe yunhi khenchti
rehti thi jinhein
wo laqeerein ab tasveerein
banne lagi hain
No comments:
Post a Comment