Tumhare shehar ko dekhkar badi
taqleef hoti hai
Tumhare shehar mein subah bhi badi
der se hoti hai
Tumhare shehr ki galiyon mein ye ghutan kaisi hai
Hamare gaon ki mitti mein bhi
sugandh hoti hai
Tumhare akhbar bhi ab padhne mein
dar lagta hai
Hamare yahan to har aurat khuli
hawa main soti hai
Tumhare yahan buzurgon ki qadar kaun karta hai
Hamari to subah sham unhi ke charnon mein hoti hai
Tumhare shehar mein to har koi aankh
churata hai
Hamare gaon mein to har roz hi mulaqat
hoti hai
Tumhare shehr mein jise dekho
daudta rehta hai
Hamare yahan bargad ke ped ke
niche sangat hoti hai
Tumhare yahan kaba kashi ke
jhagdon ka kissa hai
Hamare yahan to bandagi bhi shiddat
se hoti hai
Tumhare shehar ko dekhkar badi
taqleef hoti hai
Tumhare shehar mein subah bhi badi
der se hoti hai
No comments:
Post a Comment