Saturday, November 23, 2013

dhoondti hun...

तेरे करीब और तुझसे दूर होने के बाद 
जो फासले तय किये हैं उन्हें ढूंढ़ती हूँ 

तक़दीर कि लकीरों में रातों को अक्सर
तेरा ही नाम-ओ-निशान ढूंढ़ती हूँ 

लिखी किसने ये तहरीर-ए -आब वक़्त की
न जाने कब से तेरा दर तेरा साथ ढूंढ़ती हूँ 

मुख़्तसर लफ़्ज़ों में क़ैद हुई ज़िन्दगी
खुद ही को भूली खुद का पता ढूंढ़ती हूँ 

Tere qareeb aur tujhse duur hone ke baad

Jo faasle tai kiye hain unhe dhoondti hun


Taqdeer ki lakeeron mein raaton ko aksar

Tera hi naam-o-nishaan dhoondti hun


Likhi kisne ye tehreer-e-aab waqt ki

Na jaane kab se tera dar tera saath dhoondti hun


Mukhtasar lafzon mein qaid hui zindagi

Khud hi ko bhuli khud ka pata dhoondti hun

Thursday, November 21, 2013

keh na sake...

खुद से बस एक ही शिकायत है, हाल-ए-दिल केह न सके  
पूछा तो सबने बहुत, बस लफ्ज़ ही निकल न सके 
 न जाने किसकी इनायत है ये, ज़िन्दगी एक ग़ज़ल बन गयी  
काफियों को निभा भी दिया, बस गा कर सुना न सके

Khud se bas ek hi shikayat hai, haal-e-dil keh na sake
Poochha to sabne bahut, bas lafz hi nikal na sake
Na jaane kiski inaayat hai ye, zindagi ek ghazal ban gayi
Kaafiyon ko nibha bhi diya, bas gaa kar suna na sake

Tuesday, November 19, 2013

बदल गयी

जहाँ पड़े कदम वहाँ फ़िज़ा बदल गयी
एक मुलाक़ात से मेरी ज़िन्दगी बदल गयी
निगहाओं से निग़ाहायें जब मिलने लगीं
सारे ज़माने कि मुझसे नज़र बदल गयी

Jahan pade kadam wahan fiza badal gayee
Ek mulaqat se meri zindagi badal gayee
Nighaaon se nighaein jab milne lageen
Saare zamaane ki mujhse nazar badal gayee

Monday, November 18, 2013

Naseeb!

आहिस्ता से ग़ज़ल पढ़ना, मेरे दिल कि कहानी है आपके लहज़े से निखर आएगी, बात मगर पुरानी है एक लड़का है जिसपे एक लड़की दीवानी है बातों का सिलसिला जो शुरू हुआ, दिल हुआ रूमानी है नज़रें मिली, मुलाक़ात हुई, अंग अंग नूरानी है अब आगे होगा क्या, इन बातों से वो अनजानी है आप ही बताएं, सुनना अब आपकी ज़ुबानी है उसके नसीब में महफ़िल है या फिर वीरानी है ?



Aahista se gazal padhna, mere dil ki kahani hai
Aapke lehze se nikhar aayegi, baat magar purani hai

Ek ladka hai jispe ek ladki deewani hai
Baton ka silsila jo shuru hua, dil hua rumani hai

Nazarein mili, mulaqat hui, ang-ang noorani hai
Ab aage hoga kya, in baaton se wo anjaani hai

Aap hi batayein sunna ab aapki zubaani hai
uske naseeb mein mehfil hai ya phir veerani hai?
 

Friday, November 15, 2013

फासला...

तमाम उम्र यादों का सिलसिला रहा फिर भी  
बहुत क़रीब थे हम, फासला रहा फिर भी  
एक महफ़िल में सजीं थीं महफ़िलें कई  
किसी कोने में ये दिल तनहा रहा फिर भी 



Tamam umr yaadon ka silsila raha phir bhi
Bahut qareeb the hum faasla raha phir bhi

Ek mehfil mein saji thi mehfilein kai
Kisi kone mein ye dil tanha raha phir bhi
 

Monday, November 11, 2013

Lafz...



Mere har lafz se likhi hui ek haseen kitaab ho tum
Jise maine khud hi se chhipaya aisa khwaab ho tum

Jis ehsaas ko main dhundti rahi har mod par
Meri zindagi ka wahi ek behatreen lamha ho tum

Jiski justju mein ek umr maine guzaar di
Ussi ibaadat, ussi bandagii ka anjaam ho tum

Ye mumkin hai ki juda ho jaayein waqt ke taqaze mein
Itna jaan lena ki mere qareeb, mere aas paas ho tum

Saturday, November 9, 2013

mere paas rehne do...



Tumhara mujhe der tak takne ka andaz mere paas rehne do
In beete lamhon ke wo meethe ehsaas mere paas rehne do

Har raat darwaze ki chaukhat pe baith ghanto baatein karna
Khilkhilati hansi ke wo anginat pal mere paas rehne do

Jinhe hum keh nahin sakte ye un jazbon ki khushbu hai
Dil ki kuchh kahi ankahi baaton ko mere paas rehne do

Tumhare khwab, tumhara tassavur, aur woh tamannayein
Karwatein lete hue ye betaab khayal mere paas rehne do

Tanha tanha...



Hai tere bin sab kuchh yahaan tanha tanha
Jaan tanha, jahan tanha, jazbaat hain tanha tanha
 
Khamoshiyon ke nazare tujhe bulate hain
Zubaan tanha, geet tanha, ghazal hai tanha tanha 
 
Tere mere darmiyan hai ye khala kaisi
Safar tanha, fiza tanha, chaand bhi hai tanha tanha