Qatra qatra pighal rahi hun main
khafa khafa si chal rahi hun main
kya yahi wafa ka sila hai
tinka tinka bikhar rahi hun main
jalta kya sirf parwana hai
zarra zarra jal rahi hun main
ghutan yahan ye kaisi hai
dhuan dhuan ulajh rahi hun main
is aaghaz ka anjaam kya hai
lamha lamha mit rahi hun main
No comments:
Post a Comment