kal raat kisi ki awaaz ne panaah di
jaise doobti hui saanson ki dor tham li
dil ke dhadakne ka sabab kis se kahein
ye mujhpe hua tha asar ya haqeeqat thi
waqt muqarar hai mulaqat ka lekin
behisaab machle hain yun jazbaat aaj hi
izhar-e-mohabbat ka andaz gajab hoga
jhuki hui nigah kahegi haal humara bhi
No comments:
Post a Comment