Friday, August 30, 2013

aaj kal...



Aaj kal kahan kagaz par koi kuchh likhta hai
Ab waqt guzaarne mein bahut waqt lagta hai

Wo baat aur thi jab chaand sitaron se saje khat aatey the
Ab hosh-o-hawaas ki khabar dene ki fursat nahi, lagta hai

Laqeerein taqdeer ki hain ya likhi hain kalam se
ye sawaal ka jawaab wahi hairan si khamoshi hai, lagta hai

Is berukhi, badalti duniya ka khuda koi nahin
Bahut dinon se aksar mujhe aisa lagta hai

No comments:

Post a Comment