Friday, February 21, 2014

बस एक तस्वीर है जिसे मैं भुलाती नहीं...

सूनी है महफ़िल कोई साथी नहीं
रातें भी हैं कि लोरी सुनाती नहीं

मैं खिल गयी हूँ किसी के लम्स से
ये मेहक बदन से अब जाती नहीं

मैं बन गयी हूँ अपने घर में अजनबी
शहर की कोई भी शय भाती नहीं

मिट गए हैं निशान दौर-ए-सफ़र के 'मीना'
बस एक तस्वीर है जिसे मैं भुलाती नहीं

sooni hai mehfil koi saathi nahin
raatein bhi hain ki lori sunaati nahin

main khil gayee hun kisi ke lams se
ye mehak badan se ab jaati nahin

main ban gayee hun apne ghar mein ajnabi
shehr kii koi bhi shay bhaati nahin

mit gaye hain nishaan daur-e-safar ke 'meena'
bas ek tasveer hai jise main bhulati nahin

No comments:

Post a Comment