दरमियां होंगी दूरियां, ये कभी सोचा नहीं
क़रीब इतने था मेरे फिर भी वो मेरा था नहीं
कहता रहा, सुनती रही दास्ताँ बेवफा-ए-यार की
मुददतें गुज़र गयीं पर वो मुझे समझा नहीं
बुझ चुकी हैं सब चितायें दर्द के एहसास की
रूह तक में ज़ख्म मेरे कोई भी ताज़ा नहीं
सूखे रिश्तों का हरा इक पेड़ हूँ मैं दोस्तों
मैं हूँ हमसाया मगर मेरा कोई साया नहीं
याद रखें तो और भी तक़लीफ़ होती है 'मीना'
भूल जाने के सिवा अब और कोई चारा नहीं
darmiyan hongi dooriyaan, ye kabhi sochaa nahin
qareeb itne tha mere phir bhi wo mera thaa nahin
kehta raha, sunti rahi dastaan bewafa-e-yaar ki
muddatein guzar gayiin par wo mujhe samjha nahin
bujh chuki hain sab chitayein dard ke ehsaas kii
rooh tak mein zakhm mere koi bhi taaza nahin
sukhe rishton ka hara ik ped hun main doston
main hun humsaya magar mera koi saya nahin
yaad rakhein to aur bhii taqleef hoti hai ‘meena’
bhuul jaane ke siva ab aur koi chaara nahin

No comments:
Post a Comment