Tuesday, February 25, 2014

ehsaas...

एहसास अपनी हस्ती का मिटाने के लिए
याद करती हूँ तुझे खुद को भुलाने के लिए

मैं उसे खुद ही समझ बैठी हूँ अपना चेहरा
मैंने ओढ़ा था नक़ाब जो ज़माने के लिए

ज़ब्त करती हूँ तो दम घुटता है अरमानों का
लेकिन होते नहीं हर राज़ सुनाने के लिए

दर्द के दश्त से गुज़री तो ये एहसास हुआ
अश्क़ होते नहीं 'मीना' यूँही बहाने के लिए

ehsaas apni hasti ka mitaane ke liye
yaad karti hun tujhe khud ko bhulaane ke liye

main use khud bhi samajh baithi hun apna chehra
maine odha tha naqaab jo zamane ke liye

zabt karti hun to dam ghut'ta hai armaanon ka
lekin hote nahin har raaz sunaane ke liye

dard ke dasht se guzri to ye ehsaas hua
ashq hote nahin 'meena' yunhi bahaane ke liye

No comments:

Post a Comment