Tuesday, July 8, 2014

Suniye...

दिल की गहराइयों में उतरकर सुनिए
हद-ऐ-ख़ामोशी से गुज़रकर सुनिए

कितनी आवाज़ें दबी हैं इस सन्नाटे में
इन दायरों से बाहर निकलकर सुनिए

रात को धड़कनें कहती हैं क्या कुछ
बोलती हैं ख्वाईशें सर चढ़कर सुनिए

गुनगुनाती है ज़िन्दगी उलझनों के परे
बिन कुछ कहे मेरे, बस आकर सुनिए

कौन कहता है कि कानों से सुना जाता है
मोहब्बत है तो 'मीना' दिल में समाकर सुनिए

dil ki gehraaiyon mein utarkar suniye
had-ae-khamoshi se guzarkar suniye

kitni aawazein dabi hain is sannate mein
in daayaron se bahar nikalkar suniye

raat ko dhadkanein kehti hain kya kuchh
bolti hain khwaishein sar chadkar suniye

gungunati hai zindagi uljhanon ke pare
bin kuchh kahe mere, bas aakar suniye

kaun kehta hai ki kaanon se suna jaata hai
mohabbat hai to 'meena' dil mein samakar suniye

No comments:

Post a Comment