Sunday, July 6, 2014

जी चाहता है...

अपने क़ाबू से निकल जाने को जी चाहता है
उनकी बाहों में पिघल जाने को जी चाहता है

मुहब्बत की उड़ानें परों में क़ैद रहीं
इन देहलीज़ों से निकल जाने को जी चाहता है

जिनके गीत हम तन्हाइयों में गुनगुनाते हैं
उसी ग़ज़ल में ढल जाने को जी चाहता है

दूर हैं मुझसे नक़्शे-क़दम भी जिनके
उनके क़दमों में मचल जाने को जी चाहता है

लाख मालूम हो कि झूठे हैं ये वादे 'मीना'
उनकी बातों में बहल जाने को जी चाहता है

apne kaabu se nikal jaane ko jee chahta hai
girte-girte bhi sambhal jaane ko jee chahta hai

muhabbat ki udaanein paron mein qaid rahin
in dehleezon se nikal jaane ko jee chahta hai

jinke geet hum tanhaiyon mein gungunaate hain
usi ghazal mein dhal jaane ko jee chahta hai

duur hain mujhse abhi naqshe-kadam bhi jinke
unke kadmon mein machal jaane ko jee chahta hai

lakh maloom ho ki jhoote hain waade 'meena'
unki baaton mein behal jaane ko jee chahta hai

No comments:

Post a Comment