Saturday, January 4, 2014

ek baat thi...

एक बात थी
जो कई जनम चलती रही
एक सुर्ख मेहँदी जैसे
हाथों में लगती रही
तुम, मेरे माथे कि लकीर जैसे
और मैं, एक भूली हुई याद जैसे
बस, यही कहानी थी
जिसे मैं सारी उम्र लिखती रही.…

ek baat thi
jo kai janam chalti rahi
ek surkh mehendi jaise
haathon mein lagti rahi
tum, mere maathe ki laqeer jaise
aur main, ek bhuli hui yaad jaise
bas, yahi kahani thi
jise main saari umr likhti rahi…

No comments:

Post a Comment