Thursday, January 9, 2014

mere khwabon pe unki meherbani ab bhi hoti hai...


मेरे ख्वाबों पे उनकी मेहेरबानी अब भी होती है
निग़ाहों से बयाँ दिल की कहानी अब भी होती है 

दिल के पर्दों में थी जो-जो हसरतें पर्दानशीं
उभर आयें जो होंठों पे तो परेशानी अब भी होती है
बुझा बुझा सा रहता है दिल तुझसे होकर जुदा
ज़िन्दगी कटती तो है पर वीरानी अब भी होती है
वो बरसातें, वो बातें, वो मुलाक़ातें कहाँ हमदम!
मेरे घर की रात होने को सुहानी अब भी होती है

Mere khwabon pe unki meherbani ab bhi hoti hai

Nigahon se bayan dil kii kahani ab bhi hoti hai


Dil ke pardon mein thii jo-jo hasratein pardanasheen

Ubhar aayein jo honton pe to pareshani ab bhi hoti hai


Bujha bujha sa rehta hai dil tujhse hokar juda

Zindagi kat'ti to hai par veerani ab bhi hoti hai


Wo barsaatein, wo baatein, wo mulaqatein kahan hamdam!

Mere ghar kii raat hone ko suhani ab bhi hoti hai

No comments:

Post a Comment