Tuesday, January 7, 2014

upar se raat ho gayii...

तन्हाई है, मन बेचैन है, और ऊपर से रात हो गयी
इक भटकती सी ख्वाइश, आज मेरे साथ हो गयी
कभी हर वक़्त मुख़ातिब, कभी न याद भी करना
ये रिश्ता हो गया पुराना या कोई नयी बात हो गयी
इंतज़ार की घड़ियाँ भी कितनी मुश्किल से कटती हैं
ख्वाबों में ही सही आखिर आज मुलाक़ात हो गयी 

आओ नए सिरे से लिख दें 'मीना' तेरी मेरी कहानियाँ
ज़िन्दगी जैसे कई हसीं लम्हों की सौगात हो गयी 

Tanhai hai, man bechain hai, aur upar se raat ho gayii

Ik bhatakti si khwaish, aaj mere saath ho gayii



Kabhi har waqt mukhatib, kabhi na yaad bhi karna

Ye rishta ho gaya purana ya koi nayii baat ho gayii



Intezar ki ghadiyaan bhi kitni mushkil se kat’ti hain

Khwabon mein hi sahi aakhir aaj mulaqaat ho gayii



Aao naye sire se likh dein ‘Meena’ teri meri kahaniyaan

Zindagi jaise kai haseen lamhon ki saugaat ho gayii

No comments:

Post a Comment