Wednesday, January 8, 2014

tere aane ke baad...

दोनों हैं बेचैन बहुत, बात अधूरी है शायद 
बेखुदी बढ़ती चली है, तेरे क़रीब आने के बाद 

देखो किसने दस्तक दी , शाम सिन्दूरी है शायद 
रंग लाएगी ये हिना, बस अब तेरे आने के बाद
हवा में दर्द का देखो न शोर बढ़ जाए 'मीना'
कटेगी कैसे ये सुबह-ओ-शाम इस बार तेरे जाने के बाद… 
Dono hain bechain bahut, baat adhuri hai shayad
Bekhudi badhti chali hai tere qareeb aane ke baad

Dekho, kisne dastak di, shaam-sinduri hai shayad
Rang layegi ye hina bas ab tere aane ke baad

Hawa mein dard ka dekho na shor badh jaaye ‘meena’
kategi kaise ye subah-o-shaam is baar tere jaane ke baad…

No comments:

Post a Comment