Wednesday, January 8, 2014

kabhi waqt mile...



कभी वक़्त मिले तो तुम मेरे अंदर देखना 
मोहब्बत कि गहराईओं का इक समंदर देखना 

किस क़दर ख़ामोश लगती हैं इस पल मगर 
हसरतें मेरी आँखों में भर-भर देखना 

कैसी आहट थी जो रुकने लगीं सांसें मेरी 
ये किसने है मुझको पुकारा इस पहर देखना 

ये सच है दूरियां हैं हमारे दरमियाँ 
एक दिन ये फासले भी होंगे मुख़्तसर देखना 

प्यार की राह में कांटे हों कि गुल 'मीना'
ऐ यार मेरी लकीरों में मुक़द्दर देखना 

Kabhi waqt mile to tum mere andar dekhna
Mohabbat ki gehraiyon ka ik samandar dekhna

Kis qadar khamosh lagti hain is pal magar
Hasratein meri aankhon mein bhar-bhar dekhna

Kaisi aahat thi jo rukne lagiin saansein meri
Ye kisne hai mujhko pukara is pehar dekhna

Ye sach hai dooriyaan hain hamare darmiyaan
Ek din ye faasle bhi honge mukhtsar dekhna

Pyar kii raah mein kaante hon ki gul ‘meena’
Ae yaar meri laqeeron mein muqqaddar dekhna

No comments:

Post a Comment