Sunday, January 26, 2014

kehne ko to azaad ho gaye hain hum...

ना पूछ आलम इस अजब दुनिया का
किसी की आँख में पानी नहीं किसी के लिए

कहने को तो आज़ाद हो गए हैं हम
दर-ऐ-क़फ़स में रिहाई नहीं किसी के लिए

मुझमें बस्ते हैं सभी लोग मैं बोलूं तो क्या बोलूं
एक अँधेरी कोठड़ी है रौशनी नहीं किसी के लिए

चल कि इक नयी सुबह का आग़ाज़ करें 'मीना'
इस चमन में बहार आनी नहीं किसी के लिए

na pooch aalam is ajab duniya ka
kisi ki aankh mein paani nahin kisi ke liye

kehne ko to azaad ho gay hain hum
dar-e qafas mein rihaai nahin kisi ke liye

mujhme baste hain sabhi log main bolun to kya bolun
ek andheri kothri hai roshni nahin kisi ke liye

chal ki ek nayi subah ka aaghaz karein ‘meena’
is chaman mein bahaar aani nahin kisi ke liye

No comments:

Post a Comment