Tuesday, January 7, 2014

ye os ki boondein hain...

ये ओस की बूँदें हैं आँखों में हमारी
कब हमको दगा दे गयी बरसात हमारी 

पसंद हो हर अदा उनकी ये ज़रूरी भी नहीं
ख़ामोशी में होती है अक्सर बात 

कहते हैं, पर मिटते हैं कहाँ फासले दिल के
देखें लाती है रंग क्या मुलाक़ात हमारी 

ये प्यार है तो हम भी इसे कर के देखेंगे
होती है तो हो जाए 'मीना' मात हमारी

Ye os kii boondein hain aankhon mein hamari

Kab hamko daga de gayi barsaat hamari



Pasand ho har ada unki ye zaroori bhi nahin

khamoshi mein hoti hai aksar baat hamari



Kehte hain, par mit’te hain kahan faasle dil ke

Dekhein laati hai rang kya mulaqat hamari



Ye pyaar hai to hum bhi isse karke dekhenge

hoti hai to ho jaaye ‘Meena’ maat hamari

No comments:

Post a Comment