Friday, March 14, 2014

खुद को खुद ही से बचाकर ग़ज़ल कहो ...

खुद को खुद ही से बचाकर ग़ज़ल कहो
इस दिल में कोई दर्द बिठाकर ग़ज़ल कहो

खुशियों में अब दीए जलाने के दिन गए
अंधेरों ही में दिल को जलाकर ग़ज़ल कहो

बरसों से कहीं से कोई आवाज़ नहीं आई
इन खामोश नज़ारों को जगाकर ग़ज़ल कहो

फीके मंज़रों में अब घुट रही है ज़िन्दगी
नए रंगों की बरसात में नहाकर ग़ज़ल कहो

कोई तुम्हारे दिल में न उतरे तो ऐ 'मीना'
तुम ही किसी के दिल में समाकर ग़ज़ल कहो

khud ko khud hi se bachakar ghazal kaho
is dil mein koi dard bithakar ghazal kaho

khushiyon mein ab diye jalane ke din gaye
andheron hi mein dil ko jalakar ghazal kaho

barson se kahin se koi awaaz nahin aayi
in khamosh nazaaron ko jagakar ghazal kaho

pheeke manzaron mein ab ghut rahi hai zindagi
naye rangon kii barsaat mein nahakar ghazal kaho

koi tumhare dil mein na utre to ae 'meena'
tum hi kisi ke dil mein samakar ghazal kaho

No comments:

Post a Comment