Monday, March 17, 2014

याद आई थीं वो जागी हुई आँखें कल रात

याद आई थीं वो जागी हुई आँखें कल रात 
जाने क्या बात हुई थी जो मुझे याद नहीं 

दिल में हर वक़्त इक कसक सी रहती है 
है न जाने किसकी तलब वो मुझे याद नहीं

रात भर किसी की याद की महफ़िल जमी रही 
लोग कब रुख़सत हुए लो मुझे याद नहीं 

याद है चिराग़ों का रौशन होना 'मीना'
दिल के बुझने का सबब तो मुझे याद नहीं

Yaad aayee thii wo jaagi hui aankhein kal raat
jaane kya baat hui thi jo mujhe yaad nahi

Dil main har waqt ek kasak si rehti hai
hai na jaane kis ki talab wo mujhe yaad nahi

Raat bhar kisi ki yaad ki mehfil jami rahi
Log kab rukhsat hue lo mujhe yaad nahi

Yaad hai chiragon ka roshan hona 'meena'
Dil ke bujhne ka sabab to mujhe yaad nahi

No comments:

Post a Comment