Tuesday, March 25, 2014

मैं चाँद को आँगन में उतार आयी...

मैं चाँद को आँगन में उतार आयी
तुम्हारे बग़ैर इक उम्र गुज़ार आयी

तारे थे एक दूसरे के इतने क़रीब
कल रात तुम्हारी याद बेशुमार आयी

कुछ तो बाकी है दरमियां अपने
लौट के क्यूँ ये नज़र बार-बार आयी

ज़रा सी आह्ट हुई लगा कि तुम आये
मैं इतने में ही खुद को सँवार आयी

सोचा तुम्हे तो खिज़ा में भी 'मीना'
लगने लगा यूँ कि बहार आयी ...

main chaand ko aangan mein utaar aayee
tumhare baghair ik umr guzaar aayee

taare the ek doosre ke itne qareeb
kal raat tumhari yaad beshumaar aayee

kuchh to baki hai darmiyaan apne
laut ke kyun ye nazar baar-baar aayee

zara si aahat hui laga ki tum aaye
main itne mein hi khud ko sanwaar aayee

sochha tumhe to khiza mein bhi 'meena'
lagne laga yun ki bahaar aayee ...

No comments:

Post a Comment