वो एक शक़्स मुझे अपने क़रीब लगता है
खुद से करूँ जुदा तो अजीब लगता है
ये बेक़रारी, ये बेचैनी, ये कशिश कैसी
उसका मिलना मुझे अपना नसीब लगता है
कभी मीठी सी बातें, कभी हर बात पे झगड़े
ये याराना बड़ा दिलचस्प, बे-तरतीब लगता है
मोहब्बत की मंज़िल का पता न मिल सके फिर भी
कई सदियों का रिश्ता ये मेरे हबीब लगता है
उसके होने से जो सज जाती हैं महफ़िलें 'मीना'
उसके बग़ैर ये शहर बड़ा गरीब लगता है
Wo ek shaqs mujhe apne qareeb lagta hai
khud se karoon judaa to ajeeb lagta hai
ye beqarari, ye bechaini, ye kashish kaisi
uska milna mujhe apna naseeb lagta hai
kabhi meethi si baatein, kabhi har baat pe jhagde
ye yaraana bada dilchasp, be-tarteeb lagta hai
mohabbat kii manzil ka pata na mil sake phir bhi
kai sadiyon ka rishta ye mere habeeb lagta hai
uske hone se jo saj jaati hain mehfilein 'meena'
uske baghair ye shehr bada gareeb lagta hai

No comments:
Post a Comment