Thursday, April 3, 2014

Bhatakti hun, nazar aata nahin kinaara mujh ko...

भटकती हूँ, नज़र आता नहीं किनारा मुझ को
ये किसकी याद आई है दोबारा मुझ को 

दश्तो-दर में गूँजती है इक आवाज़
ये किस ने सर-ऐ-आम पुकारा मुझ को 

अब जो आये तो समेट ले आ कर
करती हैं ये हवाएँ आवारा मुझ को
 
उसके आने से है बदली हर शकल
ये किसकी नज़र ने है सँवारा मुझ को 

खुद को अब पहचानती ही नहीं 'मीना'
ये अपने रंग में किसने है उतारा मुझ को
Bhatakti hun, nazar aata nahin kinaara mujh ko
ye kiski yaad aayee hai dobaara mujh ko

dasht-o-dar mein gunjti hai ik awaaz
ye kis ne sar-e-aam pukaara mujh ko

ab jo aaye to samet le aa kar
karti hain ye hawaein awaara mujh ko

uske aane se hai badli har shakl
ye kiski nazar ne hai sanwaara mujh ko

khud ko ab pehchanti hi nahin 'meena'
ye apne rang mein kisne hai utaara mujh ko

No comments:

Post a Comment