Sunday, April 27, 2014

चाँद के आते ही रात ठहर जाती हो जैसे

चाँद के आते ही रात ठहर जाती हो जैसे
मेरे दिल की धड़कन कुछ सुनाती हो जैसे


शाम होते ही खुली सड़कों की याद आती है
उन राहों पे यूँ मुलाक़ात हो पाती हो जैसे


फ़िज़ा में रंग घुल जाते हैं तेरा नाम लेते ही
बारिश होते ही मिटटी महक जाती हो जैसे


बड़ी मुश्किल से इसे मैं खामोश करती हूँ
हर लम्हा तेरी ही आवाज़ बुलाती हो जैसे


मेरी खामोशियों में भी है वो शामिल 'मीना'
साँसों में खुशबु शामिल हो जाती हो जैसे...


Chaand ke aate hi raat thehr jaati ho jaise
mere dil ki dhadkan kuch sunaati ho jaise


sham hote hi khuli sadkon ki yaad aati hai
un raahon pe yun mulaqaat ho paati ho jaise


fiza mein rang ghul jaate hain tera naam lete hi
baarish hote hi mitti mehek jaati ho jaise


badi mushkil se isse main khamosh karti hun
har lamha teri hi awaaz bulaati ho jaise


meri khamoshiyon mein bhi hai wo shamil 'meena';
saanso mein khushbu shamil ho jaati ho jaise...

No comments:

Post a Comment