Sunday, December 15, 2013

Andaz...

इस तरह का अंदाज़ मेरे देखने में था
उसका वजूद जैसे मेरे आईने में था 

उसको छुआ भी, देखा भी, पर वो मज़ा कहाँ
जितना कि मज़ा उसको फ़क़त सोचने में था 

मेरी ग़ज़ल ही बस उसे महसूस कर सकी
खामोश सा जो दर्द मेरे लफ़्ज़ों में था 

is tarah ka andaz mere dekhne mein tha
uska wajood jaise mere aaine mein tha

usko chhua bhi, dekha bhi par wo maza kahan
jitna ki maza usko faqat sochne mein tha

meri ghazal hi bas use mehsoos kar saki
khamosh sa jo dard mere lafzon mein tha

No comments:

Post a Comment