Thursday, December 19, 2013

bebasi...

इससे बढ़के दुनिया में बेबसी नहीं होती
जब ख़ुशी के मिलने पर भी ख़ुशी नहीं होती

सुन सको तो आँखों में लफ्ज़ गुनगुनाते हैं
ख़ामोशी ज़ुबानों की ख़ामोशी नहीं होती

ज़िन्दगी के सेहरा में तशनगी भटकती है
जो दिखाई देती है वो नदी नहीं होती

ख्वाइशों के जंगल में दूर तक नहीं जाना
ख्वाइशों के जंगल से वापसी नहीं होती

isse badhke duniya mein bebasi nahin hoti
jab khushi ke milne par bhi khushi nahin hoti

sun sako to aankhon mein lafz gungunate hain
khamoshi zubaanon ki khamoshi nahin hoti

zindagi ke sehra mein tashnagi bhatakti hai
jo dikhai deti hai wo nadi nahin hoti

khwaishon ke jungle mein duur tak nahin jaana
khwaishon ke jungle se wapasi nahin hoti

No comments:

Post a Comment