Friday, December 20, 2013

dil ke aaghosh mein...

दिल के आघोष में जब दर्द जवां होता है
ज़ख्म कितने हैं ये एहसास कहाँ होता है

हाय उस ग़म को छिपाऊँ तो छिपाऊँ कैसे
अश्क़ बन-बन के जो आँखों से रवां होता है

ज़ब्त करती हूँ तो दम घुटता है अरमानों का
बोलती हूँ तो हर इक राज़ अयाँ होता है

dil ke aaghosh mein jab dard jawaan hota hai
zakhm kitne hain ye ehsaas kahaan hota hai

haai us gham ko chhipaaon to chhipaaon kaise
ashq ban-ban ke jo aankhon se ravaa’n hota hai

zabt karti hun to dam ghut’ta hai armaanon ka
bolti hun to har ik raaz ayaan hota hai

No comments:

Post a Comment