Friday, December 6, 2013

baqi hai...

सोये हुए थे जो चिराग वो अब रोशन हैं
ज़रा सा ठहरो कि रात अभी बाक़ी है 

निगाह-ए-दिल से ज़रा देख तेरे क़रीब हूँ मैं
आओ बैठो पास की जज़्बात अभी बाक़ी है

यही चंद लम्हें हैं जो हाथ आये हैं
तुमसे करनी थी जो, वो बात अभी बाक़ी है

न और लो तुम इम्तिहाँ मेरी मोहब्बत का
मेरे जिस्म-ओ-जिगर में जान अभी बाक़ी है

soye hue the jo chirag wo ab roshan hain
zara sa thehro ki raat abhi baqi hai

nigah-e-dil se zara dekh tere qareeb hun main
aao baitho paas ki jazbaat abhi baqi hai

yahi chand lamhe hain jo haath aaye hain
tumse karni thi jo, wo baat abhi baqi hai

na aur lo tum imtihan meri mohabbat ka
mere jism-o-jigar mein jaan abhi baqi hai

No comments:

Post a Comment