Saturday, December 7, 2013

silsila-e-ishq...

बेखुदी में इक खलिश सी भी न हो ऐसा नही
तू आये ना याद ऐसी, कोई सुबह नही, कोई शाम नहीं 

ज़िक्र दिल का तुझे सुनाऊँ क्या ऐ दोस्त
जो सिर्फ लफ़्ज़ों में हो बयाँ, वो मोहब्बत नही 

इक आग लगा देता है दीवानों के दिल में
सिलसिला-ए-इश्क़ है, छिपता भी नहीं, रुता भी नहीं 

खबर है, मोहब्बत में बड़ी तक़लीफ़ होती है
बस इतना न पूछ ये दर्द कहाँ है कहाँ नही 

Bekhudi mein ik khalish si bhi na ho aisa nahi
tu aaye na yaad aisi, koi subah nahi, koi shaam nahi

zikr dil ka tujhe sunaoon kya ae dost
jo sirf lafzon mein ho bayan, wo mohabbat nahi

ik aag laga deta hai deewanon ke dil mein
silsila-e-ishq hai, chhipta bhi nahi, rukta bhi nahi

khabar hai, mohabbat mein badi taqleef hoti hai
bas itna na pooch ye dard kahan hai, kahan nahi

No comments:

Post a Comment