नज़र से दूर रह कर भी इक मंज़र से गुज़री हूँ
मैं अक्सर डूब कर खुद में तेरे भीतर से गुज़री हूँ
मुझे हर बार तिनकों से ही अपना घर बनाना है
इसी कोशिश में कितने मौसमों के दर से गुज़री हूँ
महकने जब कभी मुझमें लगी इक गुमशुदा खुशबु
लगा मुझको कि मुद्दत बाद तेरे घर से गुज़री हूँ
Nazar se dur reh kar bhi har ek
manzar se guzri hun
Main aksar doob kar khud mein tere
bheetar se guzri hun
Mujhe har baar tinkon se hi apna
ghar banana hai
Isi koshish mein kitne mausamon ke
dar se guzri hun
Mehakne jab kabhi mujhme lagi ik
gumshuda khushbu
Laga mujhko ki muddat baad tere ghar
se guzri hun
No comments:
Post a Comment