Wednesday, December 18, 2013

dhoop hun...

धूप हूँ साया-ए-दीवार से डर जाती हूँ
तुझसे मिलती हूँ तो कुछ और बिखर जाती हूँ

तू नहीं है तो ख्यालों के अजब मौसम हैं
जाने किस सोच में चलती हूँ ठहर जाती हूँ

रूह जलती है बहुत, जिस्म पिघलता है बहुत
और मैं इस आग के दरिया से गुज़र जाती हूँ

किसकी आँखों ने मेरे अक्स पहन रखे हैं
खुद से मिलना हो तो उस शख्स के घर जाती हूँ

Dhoop hun saya-e-deewar se dar jaati hun
Tujhse milti hun to kuchh aur bikhar jaati hun

Tu nahin hai to khayalon ke ajab mausam hain
Jaane kis soch mein chalti hun theher jaati hun

Rooh jalti hai bahut, jism pighalta hai bahut
Aur main is aag ke dariya se guzar jaati hun

Kiski aankhon ne mere aks pehn rakhe hain
Khud se milna ho to us shaks ke ghar jaati hun

No comments:

Post a Comment