दिलों कि बात मैं जब भी लिखा करती हूँ कागज़ पर
कलम पर मैं किसी कि उँगलियाँ महसूस करती हूँ
कभी एहसास होता है कि हैं पुरवाइयाँ मुझमें
कभी पाँवों में अपने बेड़ियां महसूस करती हूँ
सभी का मेरे एहसासों से रिश्ता है कोई वरना
सभी कि मैं ही क्यूँ मजबूरियाँ महसूस करती हूँ
dilon ki baat main jab bhi likha
karti hun kagaz par
kalam par main kisi ki ungliyan
mehsoos karti hun
kabhi ehsaas hota hai ki hain
purvaiyaan mujhme
kabhi paanvo mein apne bediyaan
mehsoos karti hun
sabhi ka mere ehsaason se rishta hai
koi warna
sabhi ki main hi kyun majbooriyan
mehsoos karti hun
No comments:
Post a Comment